Assalamu-alaikum, IMASS ki 05 dino se ki ja rahi lagatar Delhi me mehnat Aakhirkar 22-12-2014 ko rang layi. Allah ke rahmo karam se raste hamwar huye hain. IMASS President Ajaz Ahmad ki sadarat me madarsa teachers ke pratinidhi Mandal ne Central Govt me Minister Honorable Janab Mukhtar Abbas Naqvi Sahab se mulaqat ki aur unhone Hon'ble HRD minister se sifarish ki aur HRD ke adhikariyo se IMASS padadhikariyon ne meeting ki aur jis ki wajah se 22 dec 14 ko CGAC ki meeting karke Madarsa teachers ka 2014-15 ka wetan pass kar diya aur esi mah December ke ant tak madarsa teachers ka wetan jari karne par sahmati bani hai. Gyat ho ki 2013-14 ka 06 mah ka wetan pahle se pass hai es tarah ab 18 mahine ka wetan pass hai jisme se kuchh wetan abhi December me aur kuchh December ke bad bharat sarkar se jari ho jayega. Insa-allah march tak sabhi Madarsa teachers ko 18 mah ka wetan mil jayega. detail bad me upload kiya jayega. Jaroori Dastavej IMASS padadhikaryon ko bheja ja raha hai.
IMASS ka Pratinidhi Mandal new delhi me SPQEM yojna renival ki permission ke liye MHRD ke adhikariyon wa netawon se mulaqat ke liye New Delhi Rawana ho raha hai. Insa Allah IMASS madarsa teachers ka ruka huwa wetan jald jari karane ki koshish karega. Duwawon ki darkhwast.
Madarsa Teachers ke kuchh netawon ke Honorable Azam Khan Sahab ke 18 December ke Alpsankhyak diwas ke lucknow ke program me hooting Karne ki wajah se aaj madarsa teachers ke haq me hone wale elan nahi ho sake. Gyat ho ki Honorable azam khan sahab ne apne table par madarsa teachers ki koi bhi file kabhi lambit nahi rakhi hai.
Gyat ho ko sirf ansdan hi U.P Govt se december 2014 me hone ki umid hai aur 11 december 2014 ki CGAC ki meeting cancel hone se madarsa teachers ke wetan latka hai. Asal wajah ye hai ki 2012-13 se har sal es scheme SPQEM ko chalane ke liye HRD wale renival ka permission kendra sarkar se lete hain. Es sal bhi renival ke liye file chalayi gayi hai aur permission aane par hi wetan jari ho sakega esliye IMASS barabar Delhi me paryasrat hai. Esi wajah se 2014-15 me MHRD se wetan abhi jari nahi ho saka hai aur permission ke bad hi jari hoga jabki es scheme aur IDMI ke liye 375 crore ka budget 2014-15 ke liye nirdharit hai.
IMASS President Ajaz Ahmad ne Hon'ble Uoorja Rajya Mantri Janab Yasar Shah se Mulaqat ki.
IMASS ki koshishon se U.P govt ne Sabhi laton ki U.C bhej di hai aur 46 crore samayojan ki demand bhi bhej di hai aur Naye wa addition teacher ke bare me bharat sarkar se mangi gayi soochna ka jawab bheja ja chuka hai. Ab sirf Computer wa Book bank kharid ki U.C baki hai. Umid hai ki Agar koi Adchan nahi aayi to december me purane madarsa teachers ka wetan bharat sarkar se jari ho jayega aur january me uchikaran wa naye teachers ka wetan jari hone ki umid hai. IMASS ke padadhikari Jald hi delhi Jakar Eski pairvi Karenge.
IMASS ki koshishon se hon'ble minority minister janab Aajam Khan Sahab ne Cabinet note ko manjoori de di hai ab jald hi cabinet me ese pass karke C.M ke Ansdan wade ka G.O Jari ho jayega.
اسلامک مدرسہ زدد کاری اساتجہ ایسوسی ایشن کی کوششوں سے ریاستی حکومت نے ٢ ھفتوں مے وزیر اعلی کے وعدے کو عملی جامع پہنانے کا وعدہ کیا گیا ہے- جو وعدے کے گئے ہیں
١- انٹر پاس اساتجہ کو ١٠٠٠ گریجویٹ پاس اساتجہ کو ٢٠٠٠ اور پوسٹ گریجویٹ پاس اساتجہ کو ٣٠٠٠ دینے کے وزیر اعلی کے وعدے کو پورا کیا جاےگا ٢- شاشن سے جلد سے جلد استعمال سرٹیفکیٹ مرکجی حکومت کو بھیج دیا جاےگا ٣- بڑھی ہویی صلاحیت اور نے پرپوزل کے بارے مے مرکجی حکومت سے مانگی گی معلومات جلد سے جلد مرکجی حکومت کو بھیج دی جاےگی ٤- مدرسہ اساتجہ کو ہر ماہ تنخواہ دینے کی فائل جو کی اعتراض مے ہے جلد سے جلد دوبارہ حرکت مے لانے کا وعدہ کیا ہے ٥- مدرسہ ٹیچرس کو مستکل کرنے پر حکومت نے پھل کرنے کی یکین دہانی کرائی ہے ٦- ڈائریکٹوریٹ پر اعتراض والے پرپوزل کو مرکجی حکومت کو بھیجا جاےگا
19 ke dharne me sarkar se jo 15 dino me poore karne ke Aswasan mile the- 1- Inter ka 1000 B.A ka 2000 wa M.A ka 3000 har mah dene ki C.M ki Ghoshna ko lagoo karne ki. 2- Sabhi Laton ki lot wise wa yearwise U.C shashan se tatkal Bhejne ki. 3- Bharat sarkar se mangi gayi Uchikaran wa nayi filon ki soochna tatkal bhejne. 4- Madarsa teachers ko pratimah poora wetan dene ki file jo kafi dino se objection me hai dubara chalane ki. 5- Madarsa teachers ke niyamitikaran ke mudde par gambhirta se vichar karne ka. 6- nidesalaya par lambit objection ki filon ko bhejne ki.
19 Nov ko Kayi Hajar Madarsa Teachers ne IMASS ke dharne me shirkat ki aur ek bahut hi kamyab dharna kiya. Aap sabhi ka shukriya. Parmukh Sachiv wa Vishesh sachiv Minority ke 15 dino ke ander kam karane ke Aaswasan par dharna sham 4 baje khatm kiya gaya. Aap ne jo unity dikhayi hai Insa Allah aapke kam bahut Jald hal honge. Agar aap ke pass en akhbaron ke alawa doosre akhbar ki news hai to uski paper cutting bhejein aur agar koi dharne ki achhi image hai to [email protected] par email karein.
Kuchh logon jo hamesha madarsa teachers ka shoshan karte rahe hain ne poorvanchal ke kuchh jilon me madarsa teachers ko apni haq ki ladai se door rakhne ke liye afwah failayi thi ki scheme band ho rahi hai esliye aap vidhan sabha ke samne dhane par mat jawo jile par dharna karo. Gyat ho ki ye afwah bilkul bebunyad hai aur madarsa teachers ko haq ki ladai se rokne wa unka kam bigadne ke liye afwah failayi gayi thi taki unki wasooli chalti rahe. Apne aap ko en dushmano se door rakho aur teachers ko jagruk karo. IMASS ne ek safal dharna karke dikha diya ki ab madarsa teachers wasooli walon ke sath nahi hain baki haq ki ladai ladne walon ke sath hain.
IMASS unit Amroha ne Hon'ble Madhyamic Shiksha Minister Mahboob Ali ko Gyapan diya.
IMASS ke president Ajaz Ahmad ne 12 nov 14 ko Alpsankhyak Parmukh Sachiv sri SP singh wa Hon'ble Minority Minister Azam khan se lunch ke time mulaqat kiya.
Bharat sarkar ko jo uchikaran wa nayi file gayi thi bharat sarkar ne unke bare me 19 binduwon par soochna mangi hai aur soochna bhejwane ke bad hi enko CGAC me pass kiya jayega.
IMASS ke president Ajaz Ahmad ki sadarat me madarsa teachers ke pratinidhi mandal ne 07-11-2014 ko directorate wa shashan ke adhikariyon ko C.M ke wade ka kam latkane par virodh me 19-11-14 ko dharne ka letter saunp diya hai taki wahan jald se jald madarsa teachers ki samasya ke samadhan par kam ho. Gyat ho ki rajya sarkar ne C.M ke wade ke anusar Inter ko 1000 B.A ko 2000 wa M.A ko 3000 dene ki file ko vitt se manjoori de di hai magar cabinet ne pass nahi kiya ha. Dooshri taraf poora wetan rajya sarkar se pratimah dene ka wada abhi bhi tande baste me hai.
IMASS ka 19 November 2014 ko lucknow me vidhan sabha par vishal dharna hai dharne ke karan - IMASS ke padadhikariyon se discus kiya gaya aur sabne kaha ki january 2014 me Hon. mukhyamantri mahoday ne madarsa teachers ko pratimah wetan dene ka elan kiya tha aur ek sal hone wala hai magar wada aaj tak poora nahi kiya es bich Hon Aazam khan secratory director sabhi se mulaqat ki gayi hai. gyat ho ki shru me jab august me dharna kiya gaya tha to file chali thi aur vitt tak pahunchi thi magar bad me tande baste me chali gayi. Padadhikariyon ne kaha ki hum ab hath par hath rakhkar nahi baithenge esiliye 19 november ko dharna lagaya gaya hai.
Aap sabhi se apeal hai ki apna kam samajh kar es bar sarkar ko apni taqat ka ehsas kara dena hai aur sabhi teachers ko dharne me aana hai. apne sathiyon ko batayein aur 100% teachers ko sath lane ki koshish karein. jo door ke teacher hain apna ticket kara lein.
Parmukh Mange 1- Hon. CM ke Ansdan wa pratimah wetan ke wade ko tatkal lagoo kiya jaye. 2- Madarsa teachers ko vidhimanya prashishan dilakar shiksha mitron ki tarah niyamit kiya jaye. 3- Madarsa teacher ka baki wetan tatkal dilaya jaye.
sabhi laton ka 06 mah ka 13-14 ka wetan esliye nahi jari huwa hai kyonki jo naye sire se utilization jana tha wo nahi gaya. Nidesalaya ke clerk ki gair jimmedarana rawaiye se ye kam abhi poori tarah se nahi ho saka hai jabki directer sahab ki sakht hidayat hai. Ab ye kam muharram bad hi poora ho payega. Es silsile me IMASS president Ajaz ahmad ne 29 oct 14 ko directer Faijurrahman sahab se mulaqat ki hai. Agar clerk wa accountant ne utilization samay se bana diya hota to ab tak sabhi laton ka wetan teacheron ko mil chuka hota. Honorable C.M ke ghosnawon ko bhi tande baste me rakha gaya hai file es wakt moment me nahi hai. Viswast sootra batate hain ki shashan ko uooper se koi aadesh nahi aa raha esliye file chalne ke bad ruki padi hai.
IMASS president Ajaz Ahmad ki koshishon se honorable CM ke ghoshnawon par ab tak jo bhi karwahi huwi hai us ke document aa chuke hain aap apne karibi IMASS padadhikariyon se milkar use dekh sakte hain.
IMASS President Ajaz Ahmad ka 13-10-14 me Honourable minority minister janab Aajam khan se vidhan sabha me wa 14-10-14 me directer janab Faijurrahman sahab se nidesalaya me mulaqat
1- Honorable Aazam Khan Sahab se Honorable CM ke wade ko lagoo karne ke sambandh me mulaqat ki gayi aur mang ki gayi unhone kaha ki mai ab bhi apne wade par kayam hoon aur jald hi ese amli jama pahnaya jayega.
2- Respected director sahab se dubara UC aur samayojit dhan ka mang patra bharat sarkar ko bhejne ke sambandh me mulaqat ki gayi kyonki pahle wali UC ko bharat sarkar ne nahi mana esi wajah se ab tak wetan jari nahi huwa. Director sahab ne jald hi UC wa samayojit dhan ka mangpatra bhejwane ka wada kiya hai.
IMASS ke padadhikariyon bhrastachar ke khilaf aawaj uthayi