IMASS ki koshishe rang layi aur entjar khatm huwa. IMASS president Ajaz Ahmad ne Director Janab Faijurrahman Sahab se 24-09-14 ko milkar M.A Uchikaran wa Nidesalaya se madarsa teachers ke account me sidhe wetan transfer ka format jilon ko jari karaya. Es format par soochna ek hafte me jama karna hai. Detail Jankari ke liye apne najdiki IMASS padadhikari se milein. Agar format print karne me koi dikkat hai to IMASS Padadhikari se hasil karein. Ab madarsa teachers ko majbooti milegi. .................................. Apka Ajaz Ahmad.
IMASS president ajaz ahmad ne Director sahab se mang ki hai ki jo madarsa shiksha parishan ki niyamawali ban rahi hai usme Madarsa Aadhunikikaran teachers se related kuchh niyamon ko bhi shamil kiya jayega. Insaallah ye kam bhi karaya jayega. Dua ki darkhwast.
IMASS ki koshishon se madarsa teachers ke liye wetan vitran adhiniyam ban raha hai. Ab madarsa teachers ko shoshan se mukti milegi wa samay se pratimah wetan jald hi milne par kam ho raha hai. 22-09-14 ka amar ujala paper dekhein.
IMASS President Ajaz Ahmad ne 19-09-14 ko Mau me Masdarsa teachers ke sath meeting ki.
IMASS ki koshishon se Madarsa Aadhunikikaran ki website banegi
Software ke madhyam se Jald madarsa teachers ko milegi Salary
Bahraich Jile me tainat Sri Rafat ko Nidesalaya se sambaddh kiya gaya.
Kuchh logon ne nil salary dilane ke naam par madarsa teachers se badi wasooli ki thi aur jo writ dayar ki thi wo bhi kharij ho gayi magar eske bawajood madarsa teachers ko jhoothi tasalli wa sabj baag dikhakar wasooli ab bhi jari hai. unke jhanse me na aayein.
IMASS president Ajaz Ahmad ne 09-09-14 ko Respected Sri Jay Prakash Pandey Joint Secretary ji ke sath Vishesh Sachiv Alpsankhyak Kalyan Sri Mishra ji wa Deputy Secratary Alpsankhyak Kalyan Sri Diwedi Ji wa Anubhag Adhikari Sri Singh Sahab se Mulaqat ki aur Nidesalaya ke Adhikariyon se bhi mulaqat ki aur teachers ki samasyayein rakhin.
09-09-14 me mulaqat ke result
1- Hon'ble C.M ke wade ki file ko vitt me bhejwaya. Jald hi cabinet me pass karwane ka paryas aur teachers ko jald milega preatimah wetan. 2- M.A shikshakon ke liye yogyata badhane ka format ka aadesh jald hi jilon par pahunchega. 3-1891 ka wetan jie ko pahuncha. 4- Nidesalaya se sidhe teachers ke khate me wetan bhejwane ki mang par jald hogi karwahi. 5- Jile par Madarsa teachers ko shoshar se bachane ki neet par vyapak vicha vimarsh. 6- Utilization par jo objection HRD ne lagaye the us ka jawab nidesalaya se bhejwaya. 7- Bahut hi Jald UP govt ki taraf se ansdan milna shroo ho jayega.
Insa-Allah IMASS Likhega madarsa modern Teachers ke sunahre future ka naya Itihas.
IMASS ki koshishe jari Hon'ble Dr Nazma Heptulla ne Ek bar fir ki SPQEM teachers ki Hon'ble MHRD minister se sifarish
IMASS ke Jila Lakhimpur Unit ke Padadhikariyon wa teachers ke Sahyog se Lakhimpur Dhaurahra se MLA Hon'ble Shamsher Bahadur ji ne Vidhan Sabha me prasn Uthaya jis ka Jawab Hon'ble Mohd Aazam Khan Sahab ne diya hai. niche letter Dekhein.
Letter of Hon'ble Menka Sanjay Gandhi Ji
IMASS President Ajaz Ahmad in Meeting of Madarsa teachers at Banda District Banda
1891 list ke teachers ka wetan bahut jald nidesalaya se jilon ko bhej diya jayega. Gyat ho ki kafi dino se es lot ke teachers ko wetan nahi mila tha. Baki liston ke Utilization par bharat sarkar ne objection kiya tha esliye ek hafte me lotwise wa year wise utilization bharat sarkar ko bheje jane ki umid hai. Utilization pahunchne par baki liston ka 13-14 ka 06 mah ka wetan bharat sarkar se jari hone ki umid hai.
IMASS President Ajaz Ahmad ne 27 august 14 ko Hon'ble minister of minority affairs govt of India Dr Nazma Heptulla se Mulaqat ki aur HRD ki meeting me Respected Deputy Director Tariq Sahab, Respected B.D Singh Sahab aur Sibtain wa IMASS ke Mahrajganj ke Neta Mohd IBrahim Khan Sahab wa IMASS Ambedkarnagar ke neta Mohd Jamal Ahmad Ansari ke sath sirkat ki.
Hon'ble Minister of minority affairs dr Nazma Heptullah ji se mulaqat kar unko 4000 teachers ke hastaksher wala mang patra saunpa aur unse yojna ko regular budget dene wa samay se teachers ka wetan dene aur madarsa teachers ki sewawon ko niyamit karne aur samayojit wetan dilane aur esi scheme ko niyamit chalane ke liye Minister of MHRD aur cabinet me sifarish karne ki mang ki. Unhone har sambhav madad ka wada kiya hai.
IMASS President Ajaz Ahmad ne Muradabad me 28 aug 14 ko Nagar Shiksha kendra par parshikshan ke dauran madarsa teachers se ulaqat ki aur unke sath meeting ki
IMASS Preident Ajaz Ahmad ne 29 aug 14 ko District Kannauj me Madara teachers ke sath meeting ki aur unki samasyayein suni aur jila samiti ka punargathan kiya.
Janab Faijurrahman Sahab ko alpsankhyak kalyan vibhag ka naya director banaya gaya hai. unhine charge le liya hai.
U.P shashan ne 21 Aug 14 ko meeting karke 23 Aug 14 ko sabhi naye Purane Prastav MHRD ko bhej diya hai. 27 Aug ko CGAC ki meeting me es par Vichar hone ki Umeed hai. IMASS ka pratinidhimandal Delhi Jayega aur prastav pass karane ka paryas karega.
IMASS ke Paryaso se U.P ke 1891 list ka Rs. 09,07,20,000.00 ki Doshri kist Nidesalaya ko aa gayi hai jo jald hi jilon ko bheja jayega. Gyat ho ki Honorable Aazam Khan Sahab ne 06 aug ke dharne me ese jald nikawane ka wada kiya tha jo wada poora huwa.
Laharpur Sitapur me IMASS ki Meeting
IMASS Ambedkarnagar meeting in Akbarpur
Saharanpur jile ke ek teacher ne IMASS ke hawale se na kewal jhoothi news akhbaron me de di balki bina kisi shasnadesh ke madarsa aadhunikikaran teachers ko primary school me transfer karane ka format bharana shuru kar diya. Aap ko batana hai ki na kewal news poori tarah se galat hai balki format bhi poori tarah se galat hai. Apne sathiyon ko savdhan karein aur format wagairah na bharein. State vgovt ne es tatrah ka koi shanadesh nahi kiya hai. Aisa lag raha hai ki news dene wala madarsa teachers ka shoshan karna chahta hai aur IMASS ko badnam karna chahta hai.
Kayi Hajar Madarsa Teachers ne IMASS ke Lucknow Vidhan Sabha ke dharne me sirkat ki aur Hon'ble Mohd Aajam Khan Sahab se IMASS president Ajaz Ahmad ki Kayadat me Mulaqat ki. Ye dharna itna safal huwa hai ki aapke kayi kaam ho gaye hain.
Kya kam huye hain---- 1- Director Abrar Ahmad Hataye Gaye unko lambi chutti par bheja gaya hai. 2- Uchikaran Prastav bheje ja chuke hain 3- Utilization Bheja ja chuka hai. 4- Naye Prastav 20 aug 14 tak shashan bheje jayenge. 5- M.A walon ko ab M.A bed ke barabar 2014-15 se wetan diye jane ka G.O ho gaya hai. 6- Bharat sarkar ne apna wada poora kar diya aur ab M.A walon ko 3000 aur B.A walon ko 1500 jyada wetan dene ka prastav cabinet me pass ho gaya hai ye 2014-15 se milna shuru ho jayega. 7-Nayi file bhejne par roke hat gayi hai aadesh jald hi jari hoga.
Jo kam process me aa gaye hain-- 1- Hon'ble C.M ka pratimah wetan dene wa ansdan karne ka wada process me hai. Hon'ble Azam Khan ne jald wada poora karne ki baat kahi hai. 2- Samayojit wetan jari karane ke liye IMASS paryasrat hai.
Ek bar phir aap ki mehnat wa IMASS ke pardarshan me shamil hone ke liye madarsa teachers ki taraf se aap sabhi ka shukriya.
Sabhi Madarsa Teachers wa Site Visitors ko EID-Ul-Fitr Ki Dili Mubarakbad
Sabhi Madarsa Teachers wa Site Visitors ko EID-Ul-Fitr Ki Dili Mubarakbad Letter of Honorable P.M of India to IMASS
IMASS President Ajaz Ahmad meet to Deputy Secretory minority UP Respected R.N.Diwedi ji in bapu bhawan at 28-07-14 and demanded to solve teachers problems and also for payment of pending salaries of madarsa teachers.
Awgat karana hai ki Jab se Directer Abrar Ahmad Sahab Nidesak bane hain aur Siftain sahab ko Nidesalaya me aadhunikikaran ka clerk banaya gaya hai es yojna par garhan lag chuka hai do salon se uchikaran ki file bhi nahi gayi jisse kayi hajar inter pass madarson ke teacher ke ghar ke chirag bujh gaye hai aur do salon se nayi file bhi nidesalaya me pending hain. yahan tak ki madarson ke aid ki file bhi wapas ho gayi. Batate chale ki IMASS ne kayi bar enki sikayat Parmukh sachiv alpsankhyakh Kalyan aur Honorable Minority minister se ki hai aur Directer abrar sahab wa office karamchariyon ke khilaf janch ki mang ki hai.
Madarsa teachers ab un ke ghar ka chirag bujhane wale en adhikariyon aur karamchariyon ko sabak sikhane ke liye en ke khilaf aar par ki ladai ke liye taiyar rahein.
Note - click blue link above to see budget copy aur samyojit ki gayi dhanrasi
Batate chalein ki 23 may 2014 ko shashan ne nidesalaya ko wetan ke liye dhan aawantit kiya tha.1.5 mah baad 07 july ko nidesalaya se jilon ko wetan aawantit huwa hai aur list 15 july 2014 ko list. Gyat ho ki es tarah ki laparwahi aaj tak kabhi nahi hui jabki jilon ko 15 din me aawantan ka aadesh hai. ............
IMASS president Ajaz Ahmad ki Hon'ble HRM wa MOMA minister se mulaqat me madarsa teachers ki mango ko gambhirta se lete huye bharat sarkar ne es yojna me 2014-15 me 100 crore ka attirikt budget diya hai. IMASS honorable minister HRD wa MOMA ka shukrgujar hai. Hon'ble Minister MOMA ne IMASS ko letter bheje hain.
Honorable Minister of HRD ka letter IMASS President ke nam
IMASS President Ajaz Ahmad ki Hon'ble HRD Minister Respected Smriti Jubin Irani Ji wa Hon'ble Minister of Minority Affaires Respected Dr Najma Heptulla Ji se Mulaqat