For Old News Click here
Click here for newest news
IMASS ke Paryaso se U.P ke 1891 list ka Rs. 09,07,20,000.00 ki Doshri kist Nidesalaya ko aa gayi hai jo jald hi jilon ko bheja jayega. Gyat ho ki Honorable Aazam Khan Sahab ne 06 aug ke dharne me ese jald nikawane ka wada kiya tha jo wada poora huwa.
State govt ne jo 240 crore ka budget rakha hai ye limit hai jisme 40 crore state ke share ke liye hai. Agar state govt apni taraf se poora 240 crore budget uplabhd kara deti hai tabhi pratimah wa badha huwa wetan mil sakta hai aur tabhi samasyayein hal ho sakti hain. IMASS ka paryas hai ki ese jald se jald lagoo kiya jaye.
Survey of Shamik Bag of HT Live Mint Journal He visited a rural West Bengal Madrasa and its Hindu topper to find out whether the state can be a model for reform in Madrasa education and here are also suggestions of IMASS President Ajaz Ahmad
For reading more click here
IMASS ke president Ajaz Ahmad Jila Mahrajganj me madarsa teachers ki meeting ko sambodhit karte huye. Meeting ko IMASS ke state vice president Tasawwar husain Jiladhyach Noorul Hasan wa National Sangathan Mantri Ibrahim sahab ne sanchalit kiya.
1446, 804, 27 madarson ke teachers k wetan nidesalaya aa chuka hai jo jald hi jilon ko bheja jayega.
IMASS ki koshishon se Madarsa aadhunikikaran BJP ke agende me shamil kiya gaya hai, IMASS president Ajaz Ahmad ne dec 2013 me hon'ble narendra modi ji wa kayi waristh netawon ko es sambandh me patra likhe the. Hon'ble Narendra modi ji ki gujrat office se jawab bhi aaya tha jo niche dekhein.
Madarsa teachers ki muradabad me DMWO office se training ki list bhejwane ke liye madarsa teachers ne Azimullah ki agwayi me vikas bhawan me DMWO office ka gherav kiya
IMASS ke Pardesh Upadhyach west wa jiladhyachh moradabad janab Azimullah ne Muradabad me madarsa teachers ki training ke liye Diet pracharya se mulaqat ki esi Silsile me IMASS president Ajaz Ahmad Lucknow me SCERT Director se mil chuke hain. Muradabad me jald Shuru hogi Training.
U.P Board Inter wa High School ke result ke liye yahan click karein
Inter result 25 may 14 wa High School result 30 may 14
1446 ka 6 mah ka 1891 ka 3 mah ka 804 ka 6 mah wa 45 ka jo wetan kafi dino se shashan me aaya hai abhi nidesalaya nahi bheja gaya hai jab ki kayi bar es silsile me sachiv wa director se mulaqat ki ja chuki hai.
IMASS President Ajaz Ahmad 07 may 14 ko apni poling par vote dalte huye
05-07-2014 IMASS President Ajaz Ahmad ka District Rampur me madarsa teachers ne khair maqdam kiya. Ajaz Ahmad ne madarsa teachers ki meeting ko khitab kiya aur Rampur ke District Minoririty officer wa Deputy Directer Janab R.P Singh se unki office me mulaqat ki. Ajaz Ahmad ne Rampur ke madarsa teachers wa madarson ke liye teji se kaam karane ki yakin dahani karayi.
Muradabad me 05-07-14 ko Azimullah Sahab ke ghar par IMASS President Ajaz Ahmad ne muradabad ke madarsa teachers ki samasyayein suni.
Gorakhpur Roznama Urdu Sahara me IMASS ki news dekhne ke liye click karein
http://www.roznamasahara.com/Details.aspx?id=90721&boxid=2119593
Gorakhpur Rastriye Saharra Hindi page no 6 date 21-04-13
http://www.rashtriyasahara.com/epapermain.aspx?queryed=11
IMASS President Ajaz Ahmad ki Sadarat me ek Partinidhimandal ne Parmukh Sachiv Janab Devesh Chaturvedi ji wa Director Janab Faijurrahman Sahab se mulaqat ki
http://www.roznamasahara.com/Details.aspx?id=90175&boxid=15927968
Devesh Chaturvedi ji ke aaswasan1- Hon'ble C.M U.P ki ghosnawon ko election bad lagoo karne ka aaswasan.
Kayi jilon me dalal madarsa teachers ko uchikaran ke naam par gumrah karke loot rahe hain. Aap ko batana hai ki abhi sirf unhi teachers ka uchikaran hoga jinhone Inter se B.A Kar liya hai ya B.A se M.a with B.ed kar liya hai. kewal M.A pass walon ka koi bhi uchikaran nahi ho raha hai esliye apni mehnat ki kamai dalalon par na udayein. IMASS se juden. Koi bhi format bharne se uchikaran nahi hoga balki poori file bhejne ki jaroorat hai.
Directer Minority ne 15 april tak uchikaran bhejne ki last date rakhi hai jiske letter sabhi jilon ko jari kiye gaye hain. UP ke sabhi Jila alpsankhyak kalyan adhikariyon ko bhi ye parman patra dena hai ki ab unke jile me koi bhi teacher ki uchikaran file bhejna baki nahi hai.
IMASS President Ajaz Ahmad ne shrawasti DIET par jakar training kar rahe madarsa teachers se mulakat ki aur samapan me hissa liya. Wahan ki training dene walon ki sabhi teachers ne tarif ki hai.
Viswast sootron ke anusar 1446, 804, 1891 ka 13-14 wa 45 ka 12-13 ka wetan release karke nidesalaya ko bhejne ke liye U.P shashan ne chunav aayog se permission ke liye letter bheja tha magar abhi tak permission na milne ki wajah se wetan nidesalaya nahi aa saka hai.
Aap sabhi ko 2014 election me Musalmano ko 100 percent vote dalne ke liye jagrook karna chahiye. Gyat ho ki musalmano ka vote katne wa bikherne ke liye tamam vote katwa neta khade kiye gaye hain. Aap bahut soch samajhkar vote dein aur apne vote ka misuse hone se bachayei. Apne talent ka paryog karein aur kisi ke kahne me na aayein aur apne sathiyon ko jagrook karein.
Kuchh Teachers ne phone par bataya ki jin Inter teachers ka wetan 13-14 me nahi aaya hai unse kuchh dalalon ne ye kahkar wasooli shroo kar di hai ki unka naam kat gaya hai file wapas aa gayi hai aur ese wo karayenge. Aap en dalalon se sawdhan rahein aur enko ek bhi paisa na dein.
Batate chalein ki 14-15 se un sabhi inter teachers ka wetan aayega jinhonne uchikaran file bheji hai. Aur esme kisi bhi dalal ki koi bhoomika nahi hogi.
Wetan na aane ki wajah ye hai ki nidesalaya se time se uchikaran ki sahi demand na jaane ki wajah se 13-14 me inter walon ka wetan nahi aa saka.
Aap ne agar uchikaran file bhej di hai to be fikr rahiye 14-15 se Insa allahaap ka wetan aayega. Dubara uchikaran bhejne ki jaroorat nahi. IMASS eske liye Paryasrat hai.
IMASS president Ajaz Ahmad ne Muradabad me IMASS ke waristh Leader Janab Azimullah Sahab Ki Sister ki sadi me sirkat ki.
IMASS ki koshishon se U.P ke 1446 wa 804 Madarson ke teachers ka 06 mah ka wetan bharat sarkar ne U.P govt ko bhej diya hai. IMASS ne do bar Respected Secretary Sri Devesh Chaturwedi ji se mulaqat kar Koshish karke Utilization Certificate Bhejwaya tha aur jiska risult hai ki na kewal 1446 wa 804 ka 13-14 ka wetan lapse hone se bacha balki aachar sanhita me IMASS ki koshishon se wetan jari. Budget Copy IMASS ke kisi bhi District ya State Level ke padadhikari se dekha ja sakta hai.
IMASS ke paryason se 2108 ki list me jin madarson ka 04 teachers ka pahle se wetan aa raha tha unka IMASS ki kosison se 04 teachers ka hi wetan jari huwa hai. Gyat ho ki bharat sarkar ne sirf 03 hi teachers ko wetan dene ki bat kahi thi.
Kuchh teachers ne bataya ki afwahein hain ki tamam parbandhakon ne apne madarson ko AID karane ke liye bhari rakam meadiater dalalon ko di thi magar AID bhi nahi huwa aur wo dalal hamare bhole bhale madarsa parbandhakon ko aaj kal ke jhoote aaswasan de rahe hain. IMASS ki appeal hai ki agar kisi ne kisi meadiater ko koi rakam di hai to turant wapas le le anyatha unka poora paisa doob jayega. Kisi bhi jhoote aaswasan par viswas na karein. Aap ko batate chalein ki may tak election hain aur ye election ki parkirya june tak chalegi aise me AID hona mumkin nahi aur bad me kya hoga koi gurantee nahi. Election bad sare adhikari badal jayenge aur meadiater aapki rakam kha jayenge.
imass ki kosishon se U.P ke 2108 madarson ke teachers ka 05 mah ka wetan jilon ko jari.
IMASS ki Koshishon se Muslim Students ka wajifa wa course fee dono ab sidhe students ke account me jayegi. Ab Inter Colleges wa private public schoolon wa shishu mandiron ka farjeewada band hoga. Batate chalein ki farjee sankhya dikhakar lakhon croron kamane wale school parbandhako me macha harkamp. Ye fixing karke poora wajifa le jate the aur madarse wale students ko bahut kam milta tha. Insa Allah ab 100 percent madarsa walon ko milega.
Bharat Sarkar ki alpsankhyak Prematric Scholarship me hathras me 30 crore ka ghotala.
Kya Musalmano ka paisa esi tarah Alpsankhyak Kalyan Adhikari gaban karte raheinge ?
ek hi saal me Madarsa student ka ek hi adhikari kha gaya 17.5 crore aur pichhle saal karib 12 crore
Musalmano ka paisa lootkar aise Adhikari abhi bhi jail se bahar ghoom rahe hain ----------?
Kya IMASS ko aise ghotale bajjon ke khilaf aawaj uthani chahiye --------?
Apne suggestion hame email karein.
Hathras me Sangathit Apradh kar B.P Singh ki Gaban ki Kahani padhein.
Kaise huwa ye yojnabadh Apradh
1- Pahle B.P Singh ne kalpnik madarso ko manyata di
2- En Kalpanik madarson ka apne aadmi khara kar khata khulwaya
3- Sara prematric Wajifa enhi khaton me bhej diya
4- Sara paisa apne aadmi khra karke nikal liya.
5- Es tarah do salon me kiya karib 30 crore ka gaban. Aur muslim chatron ka haq loot liya.
13 dec 13 ke minute jisme M.A / B.A B.Ed / P.G B.Ed ko barabar karne ki bat kahi gayi hai magar yad rahe ye koi circular yani Clarification G.O Nahi hai. Circular ka paryas jari hain. Esi minute ko dikhakar kuchh neta apni rajnit ki roti sekne me lage the aur Teacheron ko misguide kar Hawa me uchikaran file bhejwane ke nam par wasooli kar rahe the. Enki baton se gumrah hone se bachein.
IMASS ki koshishon se 1891 madarson ke teachers ki dooshri 03 mah ki kist bharat sarkar se jari huyi hai jo 2108 ka wetan jari hone ke kuchh dino bad jilon par aayegi.
IMASS ki kosishon se M.A / B.A B.ED / M.A B.ED ko saman wetan dene ke minute jari magar abhi circular jari hona baki hai. IMASS Circular jari karane ki koshish me. Jab circular jari hoga tabhi espar amal ki parkirya shru hogi. Afwah se bachein aur jhoote dawa karke gumrah karne walon se bachein. Dastavej dekhein.
1446 madarso ke 2013-14 ke wetan release hone ki badhayein karib karib par ho chuki hain ye wetan 04 oct 13 ko pass huwa tha magar utilization na jane ki wajah se pending tha aur imass ne es silsile me do bar parmukh sachiv se mulaqat ki thi. Bharat Sarkar se IMASS ne mang ki hai ki chunav aayog se permission lekar jald wetan release kiya jaye. Insa Allah IMASS ki kosishein bahut jald rang layengi. 2108 madarso ka 05 mah ka wetan bhi ab bahut jald jilon ko pahunchega.
IMASS Committee of Ghaziabad Click here
IMASS President Ajaz Ahmad ne Badha wetan wa Pratimah wetan lagoo karne wa sabhi liston ka pending utilization bharat sarkar ko bhejne ko lekar Respected Devesh Chaturvedi ji Pamukh Sachiv Alpsankhyak Kalyan se bapu bhawan me dooshri bar 26 feb 14 ko mulaqat ki.
Aap afwahon se door rahe kuchh log aapko gumrah karte rahe hain aur apna kam sidha karte rahein hain. Jab IMASS lucknow me pardarshan karta tha aur Vidhan Sabha par Bhik mang raha tha aur Jharoo laga raha tha kala diwas mana raha tha tab ye log kahte the yahan se kuchh nahi hoga aur aakhir kar kamyabi yahin U.P se mili. IMASS jo bhi qadam utatha hai bahut soch samajhkar mashwire se uthata hai aur jis kam ko IMASS uthata hai Allah Pak usme kamyabi deta hai. IMASS Teachers ki energy sahi jagah kharch karwata hai. IMASS madarsa teachers ke liye partimah wetan wa badhi tankhwah lagu karwane ke bad Niyamitikaran ki ladai shuru karega. Aap IMASS ke sath rahein. Es wakt Utilization bheja jana nitant jaroori hai jo U.p se hona hai Jiske Liye IMASS paryasrat hai. Kya kisi ne ye jaroori kam karne ka paryas kiya?
April 2014 se madarsa aadhunikikaran teachers ko milega badha huwa wetan aur pratimah wetan. Sachiv Alpsankhyak kalyan wa Directer Alpsankhyak kalyan ne 12 feb 14 ko IMASS President Ajaz Ahmad se mulaqat me kiya hai wada aur jald hi eske shashnadesh jari karne ka wada kiya hai.
IMASS President Ajaz Ahmad ne 12 feb 14 ko Sachiv Alpsankhyak kalyan Shri Devesh Chaturvedi ji, Directer Shri Abrar Ahmad Sahab se mulaqat kar 1446 wa 804 ka utilization bhejwane wa 2108 ka wetan jilon ko bhewjne aur Hon'ble C.M ke Ghoshra ka G.O jari karne wa Nidesalaya par Lambit Madarso ke Uchikaran wa Naye Prastav Bhejne ka mutalba kiya. Sachiv Sahab ne Jald karane ka wada kiya hai.
1891 ke 5 mah 15 dino ke wetan ki budget copy ke liye yahan click karein
11-02-14 U.P 1891 ke 05 mah 15 din ke wetan ki budget copy nidesalaya me ban chuki hai aur sign ho chuki hai. Ye budget copies ko jilon me bhej ja raha hai. 2108 madarso ke teachers ka wetan ab nidesalaya pahuncha hai jo jald hi eske bad jilon ko jari hoga.
Dainik Jagran Azamgarh ne 05-02-14 wa 06-02-14 ko croron ke Gotale ki news front page par chhapi. IMASS ki taraf se unka Shukriya. Ab bade ghotale baaz honge benaqab. Hawai school shishu mandir Inter College kar rahe bhari ghotala aur Garib madarsa wale hain mahroom. Gyat ho ki Aadhunikikaran teachers se tankhwah unke khate me lagane ke naam par minority office Azamgarh ke karmchari kar rahe the bhari wasooli. Aap ko batana hai ki IMASS ne Hathras ke poorwa Jila Alpsankhyak Kalyan Adhikari sri B.P Singh dwara kiye gaye 17 crore ke ghotale ko benaqab kiya hai. Hathras ke dmwo ke khilaf IMASS ne ki thi shikayat. Janch me Bahut Bada Ghotala sahi paya gaya. DMWO hathras se hogi 17 crore ki recovery. Janch adhikari ne shashan ko janch report bheji hai.
30-01-2014
1891 wali list ke teachers ke liye khuskhabri
Unka wetan Nidesalaya ko aa chuka hai aur near about 06 mah ka wetan unko jari hone ki ummid hai.Exact figure nidesalaya se budget copy jari hone par hi diya jayega.
Kuchh es tarah badega wetan
Graduate teacher ke liye
6000+1500+2000=9500
Post Graduate with Bed ke liye
12000+3000+3000=18000
MA or Bed (MA/Bed) ka G.O bharat sarkar ne abhi nahi bheja hai aur na to nayi salary ka hi koi G.O esliye abhi U.P govt purane G.O par kam kar rahi hai.
IMASS madarsa teachers ki taraf se Hon'ble C.M wa Hon'ble minority minister ko shukriya letter bhejega.
18-01-14 ki meeting me respected sachiv se batchit ki kuchh sound recordings
IMASS ki taraf se Ajaz Ahmad ne Madarsa teachers ke sammelan ko Hon'ble C.M U.P wa Hon'ble Mohd Azam Khan ki Maujoodgi me Sambodhit Kiya.
Hon'ble Chief Minister wa Hon,ble Azam Khan sahab ne kiya madarsa teachers ka kam - Ajaz Ahmad Madarsa teachers ki bat rakhte huye
Aaj 28-01-14 ko jo Hon'ble CM ne ghosnaye ki hain us silsile me 18-01-14 ki meeting me discus huwa tha jiski recording pahle se load ki gayi thi usi din minute banaye gaye the.
28-01-14 ko kya huwa
1- inter ke liye 1000 ba ke liye 2000 wa ma bed ke liye 3000 pratimah ka state govt ka ansdan
2- pratimah wetan ke liye rajya sarkar se kosh
3- achchhe shikshako k puraskar
Lagatar state me kiye gaye kayi dharne wa virodh pardarshano ka natija hai ki Hon'ble CM ne aisa programm diya. Mai apne un sathiyon ko mubarakbad dena chahta hoon wa shukr gujar hoon jinhonne tan- man- dhan se IMASS ke programs me shirkat ki aur safal banaya.
18-01-14 ko IMASS ke Pratinidhi mandal ne Minority Sachiv Sri Devesh Chaturvedi ji, Director Abrar Ahmad sahab, Madarsa Board ke registrar Iqbal Masoodi sahab se mulaqat ki aur 28 jan 14 ko lucknow me hone wale madarsa teachers ki Hon'ble Chief Minister ki mulaqat me Hon'ble Chief Minister ki taraf se madarsa teaches ko alag se bharat sarkar ke wetan ka 50% dilaye jane yani 7500+3750=11250 wa 15000+7500=22500 kiye jane, madarsa teachers ko niyamit karne, swasth wa durghatna bima ka labh dene chautha teacher bahal karne mid day meal dene building ke liye paisa dene aadi sambandhi 12 sootri mangpatra saunpa jis ki copy dekhein. Insa Allah 28 jan 14 ko eske achchhe natize samne aayenge aur Hon'ble C.M ki taraf se madarsa teachers ke haq me elan hoga. Batchit ke ansh ki recording jald hi website par load ki jayegi.
2108 ka 03+03=06 mah ka wetan aur 1891 ka 03 mah ka 13-14 ka wetan U.P ko aa chuka hai jo jald hi jilon ko distribute hoga. IMASS ne madarsa teachers ki salary jald jilon ko bheje jane ke liye mulaqat me sachiv Sri Devesh Chaturvedi ji ko association ki taraf se budget copies uplabdh karayin.
IMASS Muradabad unit ki muradabad kalectrate par 10 jan 14 ko pardarshan wa C.M ko sambodhi Gyapan
Bharat Sarkar ne 2108 wa 1891 Madarso ke teacherts ka 2013-14 ka 03 mah ka wetan U.P Govt ko bheja hai. State Govt bhi 1891 madarsa teachers ko savings me se 2.5 mah ka wetan dene ki baat kah rahi hai. Gyat ho ki kul saving karib 12 crore hai. Poori detail report data IMASS ke state padadhikariyon se dekha ja sakta hai.
HRD ki minority nigrani samiti ne april 2013 me madarsa teachers ki tankhwahein 25 percent badhane ki sifarish ki thi aur wetan badhane ki sifarish jmi ne bhi nov 2013 me ki thi aur jise 13 dec 13 ko hrd ne NMMCC ki meeting me moukhik hari jhandi di hai magar abhi states ko letter jari nahi huye hain. Nigrani samiti ek sifarishi samiti hai aur koi bhi nirnay lene ka use power nahi hai sirf sifarish kar sakti hai, Kuch log akhbaron se netagiri karte hai aur ghar baithe sifarishi samiti se prastav pass karwate hai. Koi bhi meeting minority se related delhi me agar hone ki khabar akhbar me aati hai to turant netagiri shuru kar dete hai, Jis Minority nigrani samiti ki meeting 06 dec ko thi usko lekar neta sargarm hai aur prastav pass hone ki rumour faila rahein hai jabki us samiti ke pass sifarish karne ke alawa decision lene ka adhikar nahi hai. aur minority education se related sabhi pahluwon par apne sujhav deti rahti hai agar sarkar chahe to mane chahe to na mane. Rumour se bachein. Mujhe tajjub hai ki graduate wa post graduate SPQEM teacher Rumour failane walon se dastvej na mangkar unki jhooti batein kaise sunte hain.
Hon'ble Chief Minister Madarsa teachers ki samasyayein sunenge. IMASS ke poore pardesh wa lucknow mukhyalaya par huye dharno ka liya sangyan.
Nidesalaya se U.P ke sabhi DMWO ke email par 1446,804 wa 456 ke teachers ke 06 mah ke wetan ki budget copies bheji ja chuki hai. 45 madarson ka wetan abhi jari hona baki hai.
See budget copies
456 click here
1446 Click here
804 Click Here
IMASS ne poore pardesh me 18 dec 13 ko kala Diwas manaya aur Hon'ble C.M ke naam Gyapan bheje gaye. Esse pahle bhi Pardesh me kayi pardarshan kiye gaye hain Jiska Sangyan lete huye Hon'ble C.M ne 28 Jan 2014 ko Madarsa teachers ki samasyawon ke samadhan ke liye Hon'ble Azam Khan ki maujoodgi me meeting bulayi hai. Insa Allah madarsa teachers ka kuchh kam jaroor hoga.
IMASS President Ajaz Ahmad ne Hon'ble MHRD Ministry Sri Pallam Raju ki adhyachhta wali NMMCC ki meeting me 13 dec 13 ko madarsa teachers ki Samasyayein Uthayin Niche Click karein aur Sunein

ajaz ahmad suggestion 1 | |
File Size: | 4798 kb |
File Type: | mp3 |

Ajaz Ahmad Suggestions 2 | |
File Size: | 2045 kb |
File Type: | mp3 |
Hon'ble HRD Minister Sri Pallam Raju ji wa additional Secratary Respected Vrinda Swaroop ji ke Statements ----
Meeting ke Result
Kya Huwa-------
1- Graduate teachers ki salary 6000 se 7500 dene ka Aaswashan.
2- M.A ki salary 15000 aur B.A Bed ki salary bhi 15000 karne ka Aaswashan.
3- M.A with B ed ki Aniwarita khatm karne ka Aaswashan.
4- Computer ke liye ek lakh ki Jagah do lakh Dene ka Aaswashan.
Kya nahi Huwa-
1- Bakaya nil wetan dene ka koi Aaswasan nahi
2- Nikale gaye chauthe teacher ko lene ka koi Aaswasan nahi
3- Reglarization ka koi Aaswasan nahi
4- U.P ke madarson ko mid day meal dene ke liye kuchh nahi kaha
Sabse kharab kya huwa yani nayi Samasya kya hai????
------------------------ Jald hi load hoga???????????????????????????
Hon'ble HRD Minister Sri Pallam Raju ji ke sath meeting me IMASS President Ajaz Ahmad at 13 Dec 13
IMASS President Ajaz Ahmad ne 13 Dec 2013 ko Morning me Hon'ble Minority inister K Rahman Khan se Unke Awas per New Delhi me Mulaqat ki.
IMASS President Ajaz Ahmad 12 Dec ko Dist Saharanpur me Madarsa teachers ke sath meeting me janmanch me
IMASS President Ajaz Ahmad Bulandshahar me Madarsa Teachers ke sath meeting me 14 Dec 13 ko
2013-14 me sabhi listo 1446,1891,2108,804,45 ko jod kar ek hi list 6062 banayi gayi hai aur 04 oct 13 ko 6062 madarson ka ek saal ka wetan bharat sarkar me pass ho chuka hai jo UP se utilization jane par jald hi jari hone ki ummeed hai.
2012-13 me U.P ke Madarson ke salary ka chart
1446
|
2108
|
1891
|
804,45
|
456
|
Kuchh teachers ne jo 1891 ki list ke hain phone karke kaha hai ki chonki 1891 ka paisa kisi wajah se kam aaya hai to aise me sabhi liston 1446,1891,456,804,45 ko barabar wetan ka witran hona chahiye.
Kuch awsarwadi neta madarsa teachers ki samasya ka fayeda uthane ke liye sakriye ho gaye hain aur madarsa teachers ko jhoonthi tasalli dekar wasooli me jute huye hain. unse bachein aur unke shoshan se apne sathiyon ko bhi bachayein. 13 dec 2013 ko aapki samasyawon par new delhi me NMMCC ki meeting hai aur IMASS aapki samasyayein wahan uthayega.
KYA AAP NE KABHI SOCHA KI AAPKE NETA NE PAHLE JIS KAM KE LIYE CHANDA LIYA THA WO
HUWA? AGAR NAHI TO FIR AAP DOBARA USKI BAT PAR KYON WISWAS KAR CHANDA DE RAHE HO.
Agar aap sochte hai ki aapki list no kya hai to aap 2009-10 se 2012-13 tak mile wetan se jane
Agar aapko last me 04 mah ka wetan mila hai to
|
Agar aap ko last me 05 mah ka wetan mila hai to aapki lot no 1891 hai |
Agar aapko last me 19.5 mah ka wetan mila hai to aapki lot no 1 |
Agar aap ko pahle ek saal aur last me 06 mah ka wetan mila hai to aapki list no 849(804+45) hai |
Agar aapko ab tak sirf ek bar 06 mah ka wetan mila hai to aapki lot no 45 |