17-07-2013 ko IMASS ke president janab Ajaz Ahmad wa Pardesh Mahamantri Mohd Ahmad Lakhimpuri wa Lucknow jile ke Mahasachiv Ansarul Hasan aur kai teachers ne Minority Directer Janab Abrar Ahmad Sahab se Mulaqat ki thi aur 804, 228,201 wa 27 madarso ke teachers ka wetan jilon ko bhejne aur Madarsa Teachers ki Demand Bharat Sarkar ko Bhejne ke bare me maang ki thi jis par directer sahab ne turant karwane ke baare me kaha tha. 25- 26 july 13 tak en teachers ka wetan jilon ko jari hone ki umeed hai aur sabhi teachers ki agle satra ki demand bhi bharat sarkar ja chuki hai. Es baar ki demand me karib 250 madarse jo ki jameen par sanchalit nahi mile unko hataya gaya hai aur kai listo me naam wale madarso ko ek jagah kiya gaya hai aise me kuchh teachers ki sdankhya bhi ghat gayi hai aur jin inter teachers ne uchikaran prastav nahi bheje the unko 13-14 se wetan nahi milega.
IMASS ki koshishon se Samiti ne Madarsa teachers ki tankhwahein badhane ki sifarish ki hai................ Magar ye lagoo kab hogi ye nischit nahi....?
01-07-13 UP Shashan ne UP ke 804, 228,201,27 Madarso ke teachers ki salary nidesalaya bheji hai jo jald jilon ko jari hogi.
30-06-13 IMASS ke National President District Shamli me Madarsa Teachers ke sammelan me Distict Magistrate Shamli aur District Minority Officer Shamli Wakf board ke member Dildar Sahab wa AFTA ke Iqbal Sahab ke sath.