Old News Before 26 Dec 2012 dekhne ke liye yahan Click Karein.
Click Here to see news After 15 June 2013
DMWO Bahraich ne 51 madarso ke teachers ka 4 mah ka wetan un ke khato me bhejne ke liye nimn dastavej mange hain.
U.P ke 1446 Madarish ke teachers ka jo 06 mah ka wetan 28 feb 13 ko Bharat Sarkar se aaya tha usme se kewal 4 mah ka wetan jilon ko bheja ja raha hai. Esi tarah 1891 Madarish ke teachers ka esse pahle 06 mah me se kewal 05 mah ka wetan bheja gaya tha. Madarsa teachers ka wetan kafi dino se tukro me diya ja raha hai jisse asatjah ke pariwar aarthik tangi ka shikar hain.
45 madarso ki nidesalaya ki budget copy ke liye niche click kareinhttp://minoritywelfare.up.nic.in/2013-14/Vittiysvikrtiya/Madarsa/Scan05202013_140217.pdf
1446 madarso ki nidesalaya ki budget copy ke liye niche click karein
http://minoritywelfare.up.nic.in/2013-14/Vittiysvikrtiya/Madarsa/Scan05212013_143137.pdf
IMASS ke Pardesh Media Parbhari Jamal Ahmad Ansari ke sath ek Pratinidhi Mandal ne 16-05-13 ko Hon'ble Azam Khan Sahab se Mulaqat ki aur madarsa teachers ki sewawo ke niyamitikaran wa wetan badhane ke liye prastav bhejne ki mang ki hai.
IMASS ke National President Janab Ajaz Ahmad Sahab ne Hon'ble Central Ispat Minister Janab Beni Prasad Verma ji se 12-05-13 ko Lucknow me Mulaqat ki. Unhone Madarsa teachers ki tankhwahon ki adayegi ki poori yakindahani karayi.
Shajahanpur wa Sitapur me IMASS ke president Janab Ajaz Ahmad ka Madarsa Teachers ki Meeting ko khitab
Lambe Time se shashan me Lambit U.P ke 1446 Madarson ke Teachers ka 04 mah 15 din ka 2012-13 ka wetan 07-05-13 ko nidesalaya alpsankhyak kalyan uttar pradesh bhej diya gaya hai jo jald hi U.P ke jilon ko bhej diya jayega. Ye wetan 28 feb 13 ko U.P Govt ko Bharat Sarkar se bheja gaya tha.
Kerala ke 1462 naye madarson ki 2013-14, UP ke 27,231, 201 naye madarso ke teachers ki 2013-14 ki tankhwahein jo ki CGAC approve kar chuki hai unka 50% 1st installment jald hi Bharat Sarkar se jari hogi. Assam ke 124, 15 naye madarso ki 2012-13 ki tankhwahein wa chattisgarh ke 19 naye madarso ke teachers ka 2012-13 ka wetan jari ho chuka hain. Budget copy ke liye niche click karein
Assam
Chattisgarh
Hon'ble Minority Minister of India ka Madarsa Aadhunikikaran Teachers ki baki tankhwahon ki adayegi ke sambandh me Hon'ble HRD Minister ko letter.
Hon'ble Vice President of India, Hon'ble Jitin Parsad ji Hrd Minister MOS, Hon'ble Kamando Kamal Kishore ji Sansad ke letters. IMASS is in your service.
Badaun me IMASS ke national President Janab Ajaz Ahmad ne Bade wa Chote Sarkar dargah ki jiyarat ki aur Madarsa teachers ke mandaliye sammelan ko sambodhit kiya. IMASS ke Ajaz Ahmad, Arbi Farsi Madarish Association ke Iqbal Sahab, Ideal teachers Association ke Shakeel sahab ne ek sath rahne wa ek banner ke niche aandolan karne ha halaf liya. Western U.P me IMASS ka muttahida Mahaj ek sath kam karega. Wakf committee ke member Dildar Sahab ne Sadarat Ki.
Jila Alpsankhyak Kalyan Adhikari District Ambedkar Nagar Sri Son Kumar ji ke karname akhbaron ki jaban me.
9 Sootri Mango ko Leker Badi Tadad me Madarsa Teachers ne 18-04-13 ko IMASS ke national president Ajaz Ahmad ki Sadarat me Vidhan Sabha par Dharna diya aur Hon. C.M ko Sambodhit Gyapan Bheja. purane wa naye madarso ka teachers ka 6 mah ka U.P. shashan par lambit wetan jald hi jilon ko jari hoga. Ajaz Ahmad ne Bataya ki Es dharne me gyapan dene ke baad Pardesh wa national Committee ka bhi Punargathan kiya gaya hai aur sabhi teachers ki sarwa sammati se prastav parit kiya gaya hai.
U.P Congress ke Parbhari Shri Parmode Singh Ji ne Madarsa teachers ko Sambodhit Kiya aur unki baki tankhwahein dilane ki yakin Dahani Karayi.
Bahraich me DM Pratinidhi Rspd. City Magistrate ke madhyam se 12 april ko Gyapan Hon. CM ko Bheja gaya.
IMASS ke National President Ajaz Ahmad ki Adhyachchhta me ek Pratinidimandal Alpsankhyak sachiv Mohtarma Leena Jauhary wa Alpsankhyak Director Janab Abrar Ahmad sahab se mila aur madarsa teachers ki samasyawon ke samadhan ki bat ki. es pratinidhi mandal me IMASS vice president nawab husain Pilibhit, Rastriye mahamantry Ibrahim khan Mahrajganj, Pardesh sachiv Mubarak Ansari kushinagar, Pardesh mahamantry mohd ahmad lakhimpur, Mandal Addhyachh lucknow Mohd aarif, sultan beg jiladhyachh wa yasin jila mahasachiv faizabad, kutubuddin jiladhyachh wa ansarul hasan jila mahasachiv luchnow, Mohd Aarif Pilibhit aur badi tadad me madarsa teacher maujood rahe.
1446,1228,440,223,804,45 madarso ke teachers ka jo wetan U.P Govt ko aaya tha usme se kewal 1891 ka 5 mah ka wetan Punarviniyog (Ek bar kharch hone ke baad dooshre head se) se jilon ko jari huwa hai jo 31 march tak har hal me tregery se draw hona hai. jis ki budget copy 23-03-2013 ki hai. Budget copy dekhne ke liye yahan click karein
IMASS ke Uttrakhand ke President Janab Nisar Ahmad Sahab ne Jankari di hai ki unke state me Madarsa Anudeshakon ka Shikshamitro ki jagah samayojan hone wala hai aur jald hi eska shashnadesh jari hone wala hai. IMASS U.P me bhi eski mang karega.
IMASS ki koshishon se Jald hi Madarsa Anudeshakon ka wetan Jari hoga. Hon'ble Kamal Kishore Ji ne Hon'ble HRD Minister ko Letter Likha.
Hon'ble Sansad Kamando Kamal Kishore ji ne Madarsa Teachers ki pending salary Tatkal Dene ke liye Hon'ble HRD Minister ji ko letter likha.
IMASS ke Paryaso se All India ke Sabhi Madarson ko mileha MDM. Bharat Sarkar ki hari Jhandi.
IMASS ke National President Ajaz Ahmad, State Vice President Nawab Husain, State Mahamantri Mohd Ahmad, Mandal Adhyachh Lucknow Mohd Aarif, Mandal Upadhyachh Juber Khan, Jiladhyachh Lakhimpur Mohd Rasid, Jiadhyachh Sitapur Ekhlaq Khan, Jiladhyachh Bareily Mohd Shakeel, State up- Sachiv Ekhlaq sahab ka Lakhimpur me teachers ne khair maqdam kiya. Madarsa teachers ki problems ko hal karne charcha hui.
1891 madarso ka 6 mah ka 2012-13 ka 1831.66 lakh 28 feb 2013 ko wa 1446 madarish ke asatjah ka 6 mah ka 2012-13 ka 1309.14 lakh 28 feb 2013 ko Bharat sarkar se U.P govt Bheja ja chuka hai. baki 6 mah ka wetan jald jari hoga magar 1891 ka do salo ka wa 1446 ka ek saal ka wetan nahi nikla hai jis ke liye kosish jari hai.
Budget Copy of 1446 Madarsas UP Click Here released 28 feb 13
Budget Copy of 1891 Madarsas UP Click Here released 28 feb 13
Budget Copy of 03 Madarsas Uttrakhand Click Here released 28 feb 13
Budget Copy of 234 Madarsas Chattisgarh Click Here released 28 feb 13
Budget Copy of 35 Madarsas Maharastra Click Here released 28 feb 13
Faizabad Meeting
U.P ke 1446 Madaris ke asatjah ka 2011-12 ka wa 1891 madaris ka 2010-11 wa 2011-12 ka wetan na release karke sarkar 2012-13 ka 6 mah ka wetan release kar rahi hai. IMASS ne ye news 20 feb 2013 se lagatar news papers me diya aur Delhi me kafi dino tak rahkar iska jabardast virodh kiya hai aur Honorable HRD Minister wa HRD ke sachiv wa sabhi related logon wa netawon ko mangpatra diya hai. insa allah jald hi samasya hal hogi. IMASS ke saath aaye jo hamesha aap ki aawaj sahi time wa sahi manch par uthata hai.
Ambedkar Nagar ke DMWO Sri Son Kumar ji ne National President Ajaz Ahmad ka Ambedkar Nagar me Garm Joshi se Swagat Kiya aur Madarsa teachers ki samasyawon ko Tatkal hal karne ki yakin dahani karayi.
IMASS ki delhi me partinidhi mandal ki Kayi Bade Netawo se ki gayi mulaqat
IMASS ke Muradabad ke Jiladhyachh Azim Ullah, IMASS ke National President Ajaz Ahmad, Hajrat Molana Afjalul Qadri Muballig Asia Africa, Hon'ble Haji Ikram Quraisi Sahab Rajya Mantri, Noushad Ansari Jiladhyachh Amroha, Mohd Ayyub Jila Upadhyachh Muradabad, Sartaj Ali Jila Koshadhyachh, Dr Anwar Latifi Sahab, Javed Rasid aamir sahab, Anwar Aalam Ansari Sahab, Dr Ayyub Sahab aur Badi tadad me madarsa teachers ki pakki naukari ki maang ki.
Madarsa teachers ki samasyayein sansad me uthengi....
IMASS President Ajaz Ahmad Ne Bahraich ke Saansad wa HRD ke Waristh Member aur planing commission me salahkar Hon'ble Sri Kamando Kamal Kisore ji wa unki ahilya Hon]ble Poonam Kishore ji se mulaqat kar unhe madarsa teachers ki samasyayein batayi. Unhonne Sansad ke satra me Madarsa Teachers ke niyamitikaran wa bakaya wetan bhugtan ki mang ko sansad me uthane ka wada kiya hai.
11 February 2013 ko U.P Shashan ne lambit 2108 Madarish ke Asatjah ke wetan ka karib 42 crore Nidesalaya Alpsankhyak Kalyan Indira Bhawan Lucknow ko bheja hai jo jald hi jilon ko Aawantit kiya Jayega.
Letter to Govt of Andhra Pradesh
IMASS President Ajaz Ahmad Write for Anudeshak of Madarsas to Authorities
IMASS ki Koshishon se Govt of India ne U.P ke 1446,849,1891 wa kuchh naye Madarish ke Asatjah ka Ek saal ka wetan pass kiya hai Jis me se 50% yani 6 mah ka wetan pahle Bharat sarkar se relies hoga baki bad me. Hon'ble Nirmal khatri ji ne bataya ki ye wetan unhone 21 jan ki meeting me pass karwa diya hai baki ke budget ka pravdhan jald hi karwa diya jayega. IMASS ke padadhikariyon ko delhi bulaya gaya hai.
IMASS National President Ajaz Ahmad Wa National Sangathan Mantri Mohd Ibrahim Khan of Dist mahrajganj, Fazeel Ahmad, Mohd Khalid, Ansarul Hasan, Mohd Jamal ansari Aur Kai jilon ke padadhikariyon ne Pardesh Congress Committee ke Adhyachh Hon'ble Janab Nirmal Khatri ji aur Janab Tariq sahab se PCC me Mulaqat kiya aur teachers ki samasyaon se un ko awgat karaya. Detail news jald hi load hogi. IMASS ..............Biggest transparent Association of madarsa teachers of India
IMASS JP Nagar News District president Nausad Ansari
Click here to see budget copy of 675 madarsas
Click here to see budget copy of 1426 madarsas
Nidesalaya Lucknow se Bahraich transfer hokar Aane par Sayed Rafat Ali Sahab ka IMASS President Ajaz Ahmad Sahab aur Madarsa Teachers ne
Khair Maqdam Kiya.
Kafi lambe time pahle Nidesalaya se jilon ko awmukt Book Bank wa Computer anurakshan ka 5000-5000 Rs Jilon ke alpsankhyak kalyan Adhikariyon ne Madarso ko distribute nahi kiya hai. IMASS ne vilamb karne wale adhikariyon ke khilaf karwahi ki mang ki hai. Click here to see G.O
IMASS ki koshishon se Madarso ko mid day meal milne ki kawayad shuru.
19-01-2013 Aaj Nidesalaya me budget aawantan ki budget copy per sign huwa hai jo ki monday 21-01-2013 ko jilo ko regisrered dak se aawantit kiya jayega. Budget copy 21-01-13 ko upminority ki website par load kiye jaane ki umeed hai.
1426 madarso ka 5 mah 15 din wa 675 madarso ka 11 mah ka wetan jilon ko nirgat ho raha hai.
Bharat Sarkar ne jo Lotwise UC Bhejne ke liye Objection Letter UP Govt ko bheja tha aur jis ke liye IMASS president ne Alpsankhyak Sachiv Respected Leena jauhary ji se 10-01-13 me mulaqat kiya tha Nidesalaya se aaj 18-01-13 ko wo Lotwise UC Shashan Bheje jaane ki Umeed hai. Ye UC shashan se 21-01-13 se pahle HRD pahunch Jane ki umeed. Budget ka aawantan 2108 Madarso me se jilon ko aaj hone ki poori umeed hai agar kisi tarah aaj nahi ho paya to monday ko hoga. 21-01-13 ko Central grant in aid committee ki me meeting hai. Kuch Madarso ki Grant pass hogi.
Shashan U.P se Rs. 20 crore jo nidesalaya aaya tha usper kaam monday 14-01-2013 se chal raha hai aur umeed hai ki es hafte ke last me ya doosre hafte ke starting me ye paisa jilon ko bhej diya jayega. IMASS is in your service.
IMASS ke president Ajaz Ahmad wa Ambedkarnagar ke Jila Adhyachh Jamal Ahmad Ansari ne 10-01-13 ko Minority Sachiv Respected Leena Jauhari Ji se Mulaqat ki aur Madarsa Teachers ki Samasyaon ke Samadhan ki Baat ki.
HRD ka Objection Letter dinank 02 jan 13 wa 10-01-13 ko di gayi demand dekhne ke liye yahan click karein aur apne passward ka paryog karein.
IMASS JP Nagar UP Jila President Nausad Ansari ne UP ke Minister Hon'ble Kamal Akhtar ko Gyapan Diya
IMASS ki Ambedkar Nager UP Ki Meeting
IMASS ki jaunpur UP ki Meeting
IMASS ke National President Ajaz Ahmad Ki Aguwayi me 26 Dec 2012 UP Congress Karyalaya par Hon'ble Digvijay Singh Ji, Hon'ble HRD Rajya Mantri Jitin Parsad Ji, Hon'ble Nirmal Khatri Ji State President UP PCC, Hon'ble Parvej Hashmi Central Leader, Hon'ble Kamando Kamal Kisore Ji wa kayi Bade Diggaj Netawon ke sath warta.
|
|
|
|
|
|
Click Below to download this 3gp vedio to your mobile
imass_president_with_big_leaders_of_congress.3gp | |
File Size: | 3825 kb |
File Type: | 3gp |
honble_nirmal_khatri_ji_with_ajaz_ahmad.3gp | |
File Size: | 982 kb |
File Type: | 3gp |